Aawaz uthayenge hum saaz bajayenge
Hai yeshu mahaan apna ye geet sunayenge
Aawaz uthayenge
			
				Sansaar ki sundarta mein, yeh roop jo tera hai
In chaand sitaaron mein, yeh ashk jo tera hai
Mahima ki teri baatein, hum sabko batayenge
Yeh yeshu mahaan apna, yeh geet sunayenge
			
Aawaz uthayenge
				Dil tera khazana hai, ek paak muhabbat ka
Yeh paa na saka koi, sagar hai tu ulfat ka
Hum teri muhabbat se, dil apna sajayenge
Hai yeshu mahaan apna, yeh geet sunayenge
			
				Na dekh saka humko, tu paap ke sagar mein
Aur banke manushya aaya, aakash ke sagar se
Mukti ka tu data hai, duniya ko batayenge
Hai yeshu mahaan apna, yeh geet sunayenge
			
				Aawaz uthayenge hum saaz bajayenge
Hai yeshu mahaan apna ye geet sunayenge
Aawaz uthayenge